Niyam aur shartein
Aakhri badlav: 9 Nov 2026
OfficeJob.in ko OfficeJob.in chalata hai. Site use karne ka matlab hai ki aap ye niyam maante hain.
1. Site kya karti hai
Hum job dhundhne walon aur employers ko milate hain. Hum khud kisi ko naukri nahi dete aur kisi job, salary ya selection ki guarantee nahi dete. Job ki jaankari employer deta hai aur uski zimmedari employer ki hai.
2. Candidate ke liye
- Account, profile, resume aur apply free hain.
- Profile me sahi jaankari bharo. Galat jaankari par account band ho sakta hai.
- Job ke badle kisi ko paise mat do. Koi maange to report karo.
- Site use karne ke liye umar kam se kam 18 saal honi chahiye.
3. Employer ke liye
- Sirf asli, khuli hui job post karo, sahi salary ke saath.
- Candidate se kisi bhi naam par paise lena mana hai.
- Jaati, dharm ya ling ke aadhar par bhedbhav wali job mana hai.
- Candidate ki jaankari sirf bharti ke liye use karo. Ise bechna, aage dena ya marketing me use karna mana hai.
- Niyam todne par job hata di jayegi aur account band ho sakta hai. Aisi sthiti me plan ka paisa wapas nahi hoga.
4. Plan aur payment
- Plan ka rate aur suvidhayen "Plan aur rate" page par likhi hain aur badal sakti hain. Chalu plan par badlav ka asar nahi padta.
- Plan apne aap renew nahi hota. Samay poora hone par account Free plan par aa jata hai.
- Plan chalu ho jane ke baad paisa wapas nahi hota, jab tak galti hamari taraf se na ho.
5. Hamari zimmedari ki seema
Hum jobs aur companies ki jaanch ki koshish karte hain, phir bhi har jaankari ke sahi hone ki guarantee nahi de sakte. Candidate aur employer ke beech ke len-den ya vivaad ki zimmedari unki apni hai.
6. Account band karna
Candidate apna account profile page se kabhi bhi delete kar sakta hai. Employer account band karwane ke liye hamse sampark kare.
7. Sampark
Koi sawaal ho to sampark page dekho.